Hemlata Singh
Follow
Posted 4 year ago

Maths ki Activies primary level pr kya kya ho skti h

1 Answer(s)
Ankita Gupta
Follow
Posted 4 year ago Ankita Gupta

Hi,

Primary level par maths in activities jyada se jyada hands-on honi chahiye. Jahan wah copy aur pencil ke bajaay khud apne haath se math karke seekh sake. 

1. Jaise ki hum sticks ki madad se add karna aur subtract karna sikha sakte hai. 

2. Measurement sikhane ke liye hum unhe haath se alag alag cheezo ka naapne ko kah sakte hai. 

3. Hum Math classroom ke bahar bhi sikha sakte hai - jaise sadak par saare jaanwar gino (counting sikhane ke liye) ya phir diameter ke baare main padaane ke liye - agal gal pedho ka diameter measure karo. 

Aise hi hum aur bhi bahut activities soch sakte hai jo simple hai aur bachche jisse relate bhi kar sake.