Study Spot
Customized learning paths based on interests
Humare school mein sabse bada change LWV ke Karan aaya hai. Pehle Humara school bhi or schools k jaise hi tha wahi lecture method jo ki bacho k liye boring method ho jata tha. But jabse LWV program school mein start hua tab se bacho ka interest bhi padhai Mai badh gya. Humare school ke pamphlet mein smart class likhna start Kiya. jisse bacho ki strength Mai bhi change aaya.sath Mai parents bhi aa k humse puchte hai smart class kaise karwate ho ya kon teacher karwate hai .......Then I feel good "I m the teacher who change the journey of school!" Ab mujhe lagta hai Humara school bhi sab school se best hai ..?️?️. Aaj ye kahawat Sabit ho gyi. "Change is always good""" At last but not the least, THANKS LWV for giving this opportunity to me and my school and our students and to our society as well.
#All credits goes to you#
Ek Kadam: wo ek kadam hi tha Jo Ke Neil Armstrong Ne rakha tha chand pe aur saare jahaan ko pahochaya tha chand par, hamare jivan me aise kai hote hai kadam jisne hamara jivan badal diya, me ek teacher hu aur mera kadam hamesha bachho ko apne chaand (sapno) tak pahochana rahega,, jiske liye bachhe me jo dikh raha hai wo nahi balki jo nahi dikh raha usko dhund kar saamne lana hai, jisse har bachha armstrong ban sake, hum bacho ke scirntist hai, aur hame unke andar chhupe talant ko bahar lana hoga, me hamesha aisi chizo pe focus karta hu jisse bachha education aur school me interest le sake.. Sab se pahele mene jo kadam uthaye hai :- 1) baccho ka school me na aana: kuchh bachho ko padhai me interest nahi hota jisse wo school me late aate hai ya nahi aate , jo sab se zyada absent rehta tha usi ko mene class ka captain bana diya, jisse unko laga ke unhe important di ja rahi hai uske baad aise bachhe kabhi absent nahi rahe. 2) Education me jo bachhe weak hai: mujhe sports kaafi pasand hai.. jo bache education me thode weak hai unko mene sports me interst jagaya jaise ki chess, yoga, kabaddi..... usse bachho ki sochne ki capacity me badhotri hui, aur wo bhi sharp bachho k comparision me aagye, 3)Science Projects; projects/models agar hum teachers bachho ke saamne present kare usse behtar ye hai ki bachhe kuch models ghar se bana kar school me laaye, aur uske liye mai koi bhi guidence nahi deta, me bachho ki rachnatmakta ko dekhna chahta hu jisse mujhe pata lage ki unme kaisa talent hai ..aisa karne se kuch natije aise aaye jise sabhi ne saraha... 4) Baccho ko patr-lekhan me thodi problem aa rahi thi aur ese question ko wo quit kar dete the, mene saare bachho ko ek ek postcard diya aur use hamare PM shree Narendra Modi sir ko likhne ko bola saare bachho ne hamare PM ko khat Likha Aur unka intrst badhne laga,wo aise hi kabhi khudko aur kabhi mujhe khat likha karte hai...
नमस्ते टीचर, मेरा नाम विजय मौर्या है. सबसे पहले मैं प्रथम का धन्यवाद करना चाहूंगा जिसकी वजह से मुझे बहुत कुछ सीखने को मिला है। learning with vodaphone की ट्रेनिंग से सीख कर मैंने एक बार अपने विद्यालय मे उस शिक्षण विधि के अंतर्गत अपने विद्यालय मे प्रदर्शनी करवाई जिसका नाम था Medicinal Plants??☘?. जिसके लिये मैंने सबसे पहले इस पुरे प्रोजेक्ट के बारे मे विद्यार्थियों को बताया फिर उन्हें 6 -6 विद्यार्थियों के समूह मे बाँट दिया और सबको अलग अलग रोल दिया की किसे चार्ट बनाने है, किसे पौधो के बार मे बताना हैं। प्रदर्शनी के दिन जब विद्यार्थियों ने बाकि अलग अलग कक्षा के विधर्थियो, तथा अभिभावकों के समक्ष पौधो के बारे मे उससे होने वाले फायदो के बारे मे बताया। अभिभावक यह देख बहुत खुश हुए साथ ही विद्यार्थियों मे भी एक नए कौशल(skill ) का विकास हुआ। यह हमारे पर्यावरण को भी बहुत प्रभावित करेगा। अभिभावकों ने यह भी कहा की ही हम भी अपने घरो मे इस तरह के पौधे जरूर लगाएंगे और दूसरे लोगो को भी बतायेगे। इस प्रदर्शनी से प्रभावित होकर हमारे क्षेत्र के बाकि विद्यालयो मे भी इस तरह के प्रोजेक्ट करवाए गये। ये एक बहुत बड़ा परिवर्तन था हमारे विद्यालय के लिए. धन्यवाद।??
https://youtu.be/FJIJDReLKREteam me ek sath work karne se naye idea b sikhne ko milte hai..aur bachhoko prakruti prem bhi jagaya aapne..kaafi achha kadam
19 Oct 2019आदर्श विद्या मंदिर बिलाड़ा में कक्षा सप्तमी के भैया बहनों द्वारा बाजार लगाकर व्यवहारिक प्रश्नों को हल किया गया बाजार में किराने का कपड़े का खिलौने का स्टेशनरी दालों का चप्पल आदि सामग्रियों की दुकानें लगाई गई जिसमें खरीदार वह विक्रेता दोनों ही कक्षा सप्तमी के भैया बे इन थे किस प्रकार बाजार में सामान की गुणवत्ता वह मोलभाव किया जाता है उस का व्यवहारिक प्रदर्शन किया गया
आज के परिदृश्य के हिसाब से किताबी ज्ञान के अलावा व्यवहारिक ज्ञान भी बहुत आवश्यक है ।टीचर कैलाशजी द्वारा जो व्यावहारिक ज्ञान का नमूना पेश किया गया है, कक्षा सप्तमी द्वारा बहुत ही। अच्छा लगा बच्चों को भी बाजार मोलभाव की जानकारी प्राप्त हुई ।
14 Oct 2019Meri kahani
very good job... achha kaam karo uska behtar results zaroor milenge.. salute..
19 Oct 2019Good Job Sir, जब हम कुछ अच्छा करते हैं तब एक सुकून का असहास होता हैं.
17 Oct 2019Great job Champa Lal Ji. Agar humare har samaj se ek insaan bhi aap jese hi kaam ki suruaat kare to wo din door nhin jab is desh ka bacha bacha pad aur likh payega. Aapki eshe hi stories aur experiences share karte rhe aur hume protsahit karte rhe.
11 Oct 2019