Study Spot
Customized learning paths based on interests
mere hisaab se seekhne ki koi ikai nahi hoti. prakrati aur manushya ka dimaag dono hi aseem hai. kisi bhi cheez ko dekhne ka nazariya har kisi ka apna hota hai. ese me yadi koi bachcha aapke paas aake apna vivran de, jo kitabi bhasha se alag ho, to use sarahe, appreciate kare. yadi vo galat h to use sudhare tatha aur seeekhne ka protsaahan de. badlav hi jeevan ka sthir satya hai aur prakrati bhi badal rahi h, aur uske roop bhi anek hai. ye seekh bhi prakrati hi to sikhati hai. iske saath saath prakrati hume anushasan ka mahatv bhi sikhati h unhi roope ke dwara. yadi ek din sooraj ast hona chhod de, to soche kya hoga? ese me jigyasa hi seekh ko maapne ki ikai hai, hum jitna seekhte hai utni hi humari jigyasa badti hai. dhanyawaad.